रविवार, 4 मई 2008

JADUGARI

karishmon kee baatein
karmaat ka zikr
jadugari ke fasaane
kabhee daastanon mein hamne pardhe the

suna tha
koi jadoogar
jaagte paanee mein
aag ke sau jazeere banata
shararon se
phoolon ki qismein ugata
ujrdee--- manhoos see bastion ko
wo gulzaar karke
unhein parion aur apsaraon se abaad karta

kabhi
shahr ke shahr
basti kee basti ko
ek pal mein sahra banata

kabhee chaand sooraj ko
mutthi mein wo qaid karta
kabhee
apni khalee hatheli pe sau chaand sooraj jagata

suna tha
koi jadugar
darakhton kee shaakhon ko
zahreele saanpon mein tabdeel karta

kabhee
aasmaan ke parindon kee parwaaz ko rok leta
kabhee
unke par kaat kar
unko phir se urdaata.

Karishmon
karamat-o-jadugari ke ye saare fasaane
kabhee daastanon mein hamne pardhe the
haqa-eq ke is daur mein
garche
jadugari ke ye saare fasaane
faqat ek tafreeh hain
aql kee roshni se bahut door hain
log dekheinge lekin

kisi roz ---- bazaar mein

chalte chalte main

patthar mein tabdeel ho jaunga !!

2 टिप्‍पणियां:

Kaunain Shahidi ने कहा…

shayed patthar bhee saans letey hain..kya pata. Aqal kee hud kahan tuk apna haath phailaye, kitnee lambee chalang lagey, sub kee apnee apnee hud hee to hai..

Lekin tasveer saaf zaroor hai, koyee aisa jadugar hai, jo her lamhey her pal hamey samhaal raha hai, her qadam uthaney main or ahista ahista her pal saans leney main.

Shukria..bahut shukria aiey jadugar...

Syeda Semim Zahan ने कहा…

Adaab Arz, Shoeb Sahab! I still believe in jadugars, djinnats, paris, apsaras, fairies, nymphs,.........

I talk to them, every night,
every day..... share with them a puff of my ciggarette when i m tired of talking to the wall..... or staring endlessly at the blank screen of my laptop.......

They don't talk back....i know they too are tired of talking back to us mortals........who never cared to listen to them...........

And about patthars, or turning into stones, i'll share with u my translation of Assamese poet, Hiren Bhattacharya:

Death too is an art,
Sculpture curved out of hard rock!

Salaam Aleikum!